Kahin aur
Kahin Kisi aur ki bahoon mein simat kar raat guzaar rahe the tum
Kambakht yaha tumhari yadon ke chaddar odhi tumhari ghar par raah dekh rahi thi mai
Kahin kisi aur se aankhon hi aankhon mei baat kar rahe the tum
Nasamajh tumhari aawaz sunne ke liye tadapti rahi mai
Kahin kisi aur ki zulfein sawaar rahe the tum
Nadaan bewajah tumhare liye sajti rahi mai
Kahin kisi aur ke khoob surati ke charche kar the tum
Pyaar mein haari tumhari saloon purani uss ek tareef pe jeeti rahi mai
Kahin aur kisi ke saath chand raaton mei husn ka khel karte rahe tum
Yaha apni zindagi tumhare saath bitane ke sapne sajati reh gayi mai