Intezaar

Aarya Morwal
Apr 26, 2022

--

Photo by David Dibert on Unsplash

Naraz ho tum mujhse shayad mohobbat rahi nakaam

Adhoora choda jo maine saath zindagi bhar nibhane ka makaam

Chand bhi rooth gaya hai mujhse kehti yeh andheri shaam

Mere din ke lamhe mei tum ho, zubaan pe bas tunhara naam

Tumhari yaadon ko, nadaniyon ko, pyaari sharaton ko — ab sametna mera kaam

Dil ki pyaas bhujane dard ko hi peelungi na chou yeh kabhi jaam

Tumhara Dil jo toda hai maine na mann ko hai aaram

Haath choda hai na choda saath yeh baat jane prabhu ram

Aarya

--

--

Aarya Morwal
Aarya Morwal

Written by Aarya Morwal

"You are the beauty, and I am the admirer, you are the reason that I am a writer."

Responses (1)